Monday, March 31, 2008

सर्द बसंत

फ़िज़ा में हर तरफ़ धुंध हि धुंध है
कल्पना का हर झरोखा मेरे अन्दर बंद है
बरसती ओस में भीगी यह फ़िज़ा थर्राये
सोच मेरी लफ़्ज़ो में क्युँ ना बदल पाये
यह नदीयां यह झरने सभी हो गये गुमसुम
मेरी तन्हाईयों में जैसे ये सभी हो गये है गुम
वादीयों में गुँजता हर एक गीत मधम है
अब तो खुश रहने कि वजह भी कम है
वक्त तो कहता है कि ये बसन्त का मौसम है
फिर मेरे अन्दर क्युँ सर्द वीरानीयाँ कायम है

SARD BASANT
Fiza mein har taraf dhundh hi dhundh hai
kalpana ka har jharoka mere undar band hai
barasti os mein bheegee zameen tharaye
soch meri lafzo mein kyu naa badal paaye
yeah nadiyaan yeah jharne sabhi ho gaye gumsum
meri tanhaiyo mein jaise ho gaye hai gum
vadiyon mein gunjta har ek geet madham hai
ab to khush rahne ki vajah bhi kam hai
waqt to kahata hai ki yeah basant ka mausam hai
phir mere andar kyun sard viraniyaa kayam hai

4 comments:

Lucky said...

Amazing Dude...

Lucky said...

Amazing Dude...

Harshal Pol said...

teri kavitaon mein kuch yun bhaav ubhar aate hain,
ke maano tesuon ke raaste saare gum gujar jaate hain...

kuch yun hoti hain abhivyakti bhavnaon ki,
jeevan roopee mala ke saare moti bikhar jaate hain....

Kya baat hai Sandy, tu to bohot achha likhta hai.......ye kavi ki kalpana hai ya kisi kalpana ne tujhe kavi bana diya.....time mile to phone kar....keep up the good work dude.

Sandeep said...

waah...harry yaar
kavita se khubsoorat to to teri prasansa hai..iske liye dhanyavaad :)